Qabare zehra pe ye Zainab ka tha noha amma
Lutgayi karbobala me theri duniya amma
Lutgayi Karbobala me theri duniya amma - jawab twice
1) Shumer ne sibthe payembar ka gala kata hai
Kund khanjar se baradar ka gala kata hai
Ithni berehmi se sarwar ka gala kata hai - twice
Garm raithi pe taraptha raha bhaiya amma
Lutgayi Karbobala me theri duniya amma - jawab twice
2) Meri Chader ka mohafez mera safdar na raha
Meri dharus na rahi saniye hyder na raha
Mera bhai mera abbase dilawer na raha - twice
Khogaya Zainabe muzthar ka sahara amma
Lutgayi Karbobala me theri duniya amma - jawab twice
3) Kal talak aono Mohammed the Ali Asghar tha
Paas Khasim tha Sakeena thi Ali Akbar tha
Jin Charageon hike damse tera rowshan ghar tha - twice
Aaj onhe khagaye maqthal ka andhera amma
Lutgayi Karbobala me theri duniya amma - jawab twice
4) Godiyan lutthi howi jalthe howe ghar dekhe
Aur naizeon pe shaheedeon ke kate sar dekhe
Teri beti ne kayi hasher ke manzar dekhe - twice
Yaad athi hai tho jaltha hai kalega amma
Lutgayi Karbobala me theri duniya amma - jawab twice
5) Daagh jo dilne othaye hain bathaye kisko
Neel Bazoo pe jo aye hain dikhaye kisko
Apni barbadi ki roodad sonayen kisko - twice
Aaj duniya me rahi koyi hamara amma
Lutgayi Karbobala me theri duniya amma - jawab twice