Zainab - Zainab
Abbas mera margaya Zainab Zainab
Abbas mera margaya Zainab Zainab
1) Barpa karo behna aza
Bhai howa ham se juda
Ham hogaye beaasra
Kohe musibath girpade - Zainab
Abbas mera margaya Zainab Zainab
2) Bazoo howe oske khalam
Kaisa howa hai ye sitham
Tanha howe Ghurbath me ham
Matham karo zere alam - Zainab
Abbas mera margaya Zainab Zainab
3) Aatha alam ko dekhar
Poocha chacha ko tha magar
Darpar hai oski munthazer
Osko na ho iski kahber - Zainab
Abbas mera margaya Zainab Zainab
4) Maregaye oske chacha
Maloom osko gar howa
Bali Sakina bebaha
Patagi sar karke buka - Zainab
Abbas mera margaya Zainab Zainab
5) Tanha hame ab jaankar
Kya kuch karange ahle shar
Barbaad hoga ghar ka ghar
Katjayeha ab mera sar - Zainab
Abbas mera margaya Zainab Zainab