Kya andhera hai phupee - Kya andhera hai phupee
Kya andhera hai phupee - Kya andhera hai phupee - jawab
Qaid khane mai Sakina ye bayan karthi thi - Kya andhera hai phupee
Shamma mangwaeeye warna mai nahi jeene ki - Kya andhera hai phupee
Qaid khane mai Sakina ye bayan karthi thi
Kya andhera hai phupee - kya andhera hai phupee
1) Apne seene se lagalo mai tumhare sadkhe - Goad me lelo mujhe (twice)
Dil dharaktha hai mera khauf se tharra tha hai ji - kya andhera hai phupee
Qaid khane mai Sakina ye bayan karthi thi
Kya andhera hai phupee - kya andhera hai phupee
2) Kyon layeen qaid me laye hain mujhe kya maloom - haye baba mazloom (twice)
Gaye maidaan ko jisdin se khabar meri nali - kya andhera hai phupee
Qaid khane mai Sakina ye bayan karthi thi
Kya andhera hai phupee - kya andhera hai phupee
3) Baba ajaye tho tab shumr ko hoga maloom - kaun hai ye masoom (twice)
Kya samajkar mujhe yon ghurkiyan detha hai shakhi - kya andhera hai phupee
Qaid khane mai Sakina ye bayan karthi thi
Kya andhera hai phupee - kya andhera hai phupee
4) Aaj ki shab ko bhi kya baba nahi aayenge - mujhko rulwayenge (twice)
Onke seene pe agar sothi tho neendh ajathi - kya andhera hai phupee
Qaid khane mai Sakina ye bayan karthi thi
Kya andhera hai phupee - kya andhera hai phupee
5) Baad mere yan agar howe pidar ka aana - onse ye farmana (twice)
Margayi ghutke andhere me tumhari beti - kya andhera hai phupee
Qaid khane mai Sakina ye bayan karthi thi
Kya andhera hai phupee - kya andhera hai phupee