NOHA

Salwatho Salam Aap Pe Ya Fatime Zehra

Salwatho salam aap pe ya Fatima Zehra
Ham aye hain purse keliye Fatima Zehra

Ham dethe hain pursa tumhe Abbase jari ka
Aur Akbare dilgeer ka ya Fatima Zehra

Zainab ke pisar Aowno Mohammed ka bhi pursa
Aur Asghare besheer ka ya Fatima Zehra

Abbas jo lashkar ka tha Sarwar ke alamdar
Dariya pe osse khatal kiya Fatima Zehra

Pamal kiya Qasime bepar ki laash ko
Kubra ko bhi bewa kiya ya Fatima Zehra

Kaneon se Sakina ke othare gaye gaohar
Zainab ki bhi chini hai rida Fatima Zehra

Bedi pinhayi dohri badan zakmi kardiya
Sajjad pe ye zulm kiya Fatima Zehra