Qayamath ki tapish hai karbala ka dashth jaltha hai
Qayamath ki tapish hai karbala ka dashth jaltha hai - jawab
Madeene ka musafir qakh parkarwat badaltha hai

1) Zara othkar lahed se daikhen lije ya Rasool Allah - 2
Janaze par janaza aap ke ghar se nikaltha hai
Qayamath ki tapish hai karbala ka dashth jaltha hai - jawab
2) Kahan hai hazrathe ayoob dekhe sabar ke johar - 2
Jawan beta hai goadi me pidar ki dam nikaltha hai
Qayamath ki tapish hai karbala ka dashth jaltha hai - jawab
3) Ye poocha karthe the tifli me Akbar shay se kyon baba -
Jawani mai jo mauth aye tho dam kyonkar nikal tha hai
Qayamath ki tapish hai karbala ka dashth jaltha hai - jawab
4) Kaha shay ne ye bano se ke kheme mai chali jaye - 2
Ali Asghar ka manka dhal chooka ab dam nikal tha hai
Qayamath ki tapish hai karbala ka dashth jaltha hai - jawab
5) Laeeno syede Sajjad par kore na barsao - 2
Bohat beemar hai ye swaasthe rukrukke chaltha hai