Mushkil kushaaye khalkhe khudara madad karo
Zainab pukaarthi hai ke baba madad karo
Lashkar howa tamam nahi koyi janisaar
Narghe me zalimeon ke hai Zehra ka gulezaar
Bekas pe toote parthe hain lakheon jafa sheyar
Behre madad ab aiye ya shahe zulfekaar
Mushkil kushaaye khalkhe khudara madad karo
Zhakmeon se choor hai mere bhai ka sab badan
Ab dagmaga rahe hain farus per shahe zaman
Hamshakle Mustafa hai na ab Qasimo Hasan
Shane kataye sothe hain Abbase saf shikan
Mushkil kushaaye khalkhe khudara madad karo
Beti tumhari kya kare iswaqt ya Ali
Girtha hai koyi dam mai faras se mera akhi
Mazloom bhai tak na bahan runme jasaki
Abbas jagthe nahi kab se jaga chuki
Mushkil kushaaye khalkhe khudara madad karo
Baba zameene karbobala khoon se laal hai
Baba hazareon tegheon me amma ka laal hai
Baba sambhal lo ke Hussain ab nidhal hai
Baba tumhari beti ka adna sawal hai
Mushkil kushaaye khalkhe khudara madad karo