NOHA

Hai Karbala Ke Bun Me Gareebon Ka Arbayeen

Hai karbala ke bun me gareebon ka arbayeen
Hai karbala ke bun me gareebon ka arbayeen - jawab
Hai karbala ke bun me gareebon ka arbayeen
Hai karbala ke bun me gareebon ka arbayeen - jawab

Shabeer ke mazaar pe Zainab ki hai jabeen
Ansoon baharahen hai khade abide hazeen
Abaad thi Hussain ke khadmeon se ye zameen
Ab haal ye hai sar pe koyi saayebaan nahi

Hai karbala ke bun me gareebon ka arbayeen - jawab twice

Bhaiya hamare waade ki takmeel hogayi
Aisa safar howa hai ke sar par rida na thi
Darbare shaam me thi khayamath ki bebasi
Rudaade gham sunane ki takhath bhi ab nahi

Hai karbala ke bun me gareebon ka arbayeen - jawab twice

Maa jaye pehle aag lagi khaima gah me
Har gaam ek taza qiyamath thi rah me
Bachi ki hichkiyoon ka hai manzar nigah me
Zindaane shaam me hai Sakina yahaan nahi

Hai karbala ke bun me gareebon ka arbayeen - jawab twice

Laila tadap rahi hai ke dilbar nahi raha
Lakhthe jigar shabeehe payember nahi raha
Roone ko ma tho rehgayi Akbar nahi raha
Chehlum jawan bete ka aur aur madare hazeen

Hai karbala ke bun me gareebon ka arbayeen - jawab twice

Abbase namwar jo harum ka tha paasban
Rothi thi yaad karke jise saari bibiyan
Be aas jiski lash pe the shahe dojahan
Lasha kahi tha haath kahi aur alam kahi

Hai karbala ke bun me gareebon ka arbayeen - jawab twice

Abbas tum nahi the qiyamath guzar gayi
Mai karbala se shaam talak nange sar gayi
Godi ke paale margaye me kyon na margayi
Zainab tadap rahi thi larazne lagi zameen

Hai karbala ke bun me gareebon ka arbayeen - jawab twice