Ay momino payame sarwar ko yaad rakhna
Ojda jo ek din me os ghar ko yaad rakhna
Aaghosh me tumhari masoom koyi aye
Aur pyaar se koyi maa jhoola ose jhulaye
Banu ki babasi ko asghar ko yaad rakhna
Jawab:
Ay momino payame sarwar ko yaad rakhna
Ojda jo ek din me os ghar ko yaad rakhna
Tumko khuda dikhaye khoshiyeon ka har sawera
Kismath se jab bhi bandho apne pisar ka sehra
Kasim ko yaad rakhna Akbar ko yaad rakhna
Jawab:
Ay momino payame sarwar ko yaad rakhna
Ojda jo ek din me os ghar ko yaad rakhna
Dekho na zindagi me marna jawan pisar ka
Bete ka daagh dil par hotha hai umar bhar ka
Laila ki hasratheon ko Akbar ko yaad rakhna
Jawab:
Ay momino payame sarwar ko yaad rakhna
Ojda jo ek din me os ghar ko yaad rakhna
Behneon ko betiyon ko jab bhi rida udhana
Ham bekaseon ko hargiz dil se nahi bhulana
Meri bahen ke sarki chadar ko yaad rakhna
Jawab:
Ay momino payame sarwar ko yaad rakhna
Ojda jo ek din me os ghar ko yaad rakhna
Beteon ko jo na royi khurbaan karke mujhe par
Aur sar nahi otahya ehsaan karke mujh par
Os jaan nisaar meri khaher ko yaad rakhna
Jawab:
Ay momino payame sarwar ko yaad rakhna
Ojda jo ek din me os ghar ko yaad rakhna