NOHA

Shooley Hain Bhadakthe Howe Har Simath Dhoonwa Hai
1) Shooley hain bhadakthe howe har simath dhoonwa hai
Zainab pe musibath hai qiyamath ka saman hai
Kehthi hai muhafiz mere parde ka kahan hai
Ham gheerathe Hyder meri chadar tho bachale

Abbas otho aag lagi jalthe hain khaime - jawab

2) Phir faize yadulha zamane ko dikhao
Fariyaad chahithi ki hai imdad ko aao
Gauher na chine aake bhathiji ko bachao
Daman se Sakina ke hain lipte howe chole

Abbas otho aag lagi jalthe hain khaime - jawab

3) Tum aao tho phir zulm ki thakat na rahegi
Tum aao tho Zainab ki rida chin na sakegi
Tum aao tho beemaar ki masnad na jalegi
Tum aao tho beemar pe barsenge na kode

Abbas otho aag lagi jalthe hain khaime - jawab

4) Barchi ki ani par abhi tak dile Akbar
Aur baap ki aaghosh me khumla gaye Asghar
Shabeer ki gardun pe chala shumer ka khanjar
Ab Abide beemar bhi sholeon me ghira hai

Abbas otho aag lagi jalthe hain khaime - jawab

5) Ab ale Mohommad pe qiyamath ki ghadi hai
Kya warise thatheer pe oftaad padi hai
Ye dukhthare Zehra hai jo balwe mai khadi hai
Beemar sambhaltha nahi kode hain barathe

Abbas otho aag lagi jalthe hain khaime - jawab