NOHA

Soona Hai Madina

Soona hai madina - Soona hai madina
Ashoor ko aya ye khathe Fatima Sughra
Soona hai madina

Kab lautke ghar aoge ya shahe madina
Soona hai madina

1) Mai darpe khadi rehthi heon ek aas lagaye - bhaiya nahi aye
Shikwa nahi Akbar se hai taqdeer se shikwa
Soona hai madina

Ashoor ko aya ye khathe Fatima Sughra - Soona hai madina (jawab)

2) Do din se mere halkh se paani nahi uthra - Qurban ho Sughra
Dil kehtha hai pardaise me tum pyaase ho baba
Soona hai madina

Ashoor ko aya ye khathe Fatima Sughra - Soona hai madina (jawab)

3) Pardaise me bhaiya ho agar biyah tumhara - arman hai mere
Bhande howe sehra meri turbath pe bhi ana
Soona hai madina

Ashoor ko aya ye khathe Fatima Sughra - Soona hai madina (jawab)

4) Mai ratheon ko sothi heon tho jag otthi heon aksar - kya bath hai akhir
Bhikraye howe baal nazar athi hai Zehra
Soona hai madina

Ashoor ko aya ye khathe Fatima Sughra - Soona hai madina (jawab)

5) Ek sheeshe me kuch khak liye phirthi hai dadi - aur karthi hai zari
Mazloom Hussaina mere mazloom Hussaina
Soona hai madina

Ashoor ko aya ye khathe Fatima Sughra - Soona hai madina (jawab)

6) Amma ki bhari goodh rahe mang na ojde - khaliq se dova hai
Yarub mere besheer ka abaad ho jhula
Soona hai madina

Ashoor ko aya ye khathe Fatima Sughra - Soona hai madina (jawab)

7) Khat pdadke Hussain ibne Ali khoob sa roye - aur sarko jhookaye
Khasid ke khari rakh diya ek nanha sa laasha
Soona hai madina

Ashoor ko aya ye khathe Fatima Sughra - Soona hai madina (jawab)

Ashoor ko aya ye khathe Fatima Sughra
Soona hai madina
Kab lautke ghar aoge ya shahe madina
Soona hai madina