1) Shabeer ki turbath pe ye Zainab ka tha noha
Ghar jake karon kya
Yaad athe hain bichde howe kattha hai kaleja
Ghar jake karon kya - Ghar jake karon kya - jawab
2) Khaime me lagi aag qiyamath ka sama tha
Har simath dhuwan tha - har simath dhuwan tha
Asbaab jo tha loot ke sab legaye aada
Ghar jake karon kya - Ghar jake karon kya - jawab
3) Hamrah mere aye hain yan Syede Sajjad
Ham hogaye barbaad - ham hogaye barbaad
Ab shaam ke zindan me sothi hai Sakina
Ghar jake karon kya - Ghar jake karon kya - jawab
4) Bachche nahi ghar hogaya weeran hamara
Hai kaun sahara - hai kaun sahara
Bathlao ke Zainab rahe kiske liye zinda
Ghar jake karon kya - Ghar jake karon kya - jawab
5) Kaise bhi ho matham me thumhara ki karongi
Markhad pe rahongi - markhad pe rahongi
Ham besaro saman hai chehlum hai thumhara
Ghar jake karon kya - Ghar jake karon kya - jawab
6) Bazoo pe nisha rassi ke hain jaeon me kaise
Dikhlaeon me kaise - dikhlaeon me kaise
Miljaye tere payenhi ek kahber ka gosha
Ghar jake karon kya - Ghar jake karon kya - jawab
7) Rehjaeon me is dashthe musabith me ye bolo
Ya jaeon wathan ko - ya jaeon wathan ko
Bathlao ke kya hukm hai iswaqth thumhara
Ghar jake karon kya - Ghar jake karon kya - jawab
8) Akhthar dame rukhsath howa istarha se mathum
Har ankh thi purnam - har ankh thi purnam
Sab ahle haram rothe the Zainab ka tha noha
Ghar jake karon kya - Ghar jake karon kya - jawab